Jiska Koi Nahi Uska Khuda Hai Yaaron – Krishna Bihari Noor has penned this beautiful ghazal. This is relatable and inspiring to many of us.
जिस का कोई भी नहीं उस का ख़ुदा है यारो – Krishna Bihari Noor
जिस का कोई भी नहीं उस का ख़ुदा है यारो
मैं नहीं कहता किताबों में लिखा है यारो
मुड़ के देखूँ तो किधर और सदा दूँ तो किसे
मेरे माज़ी ने मुझे छोड़ दिया है यारो
इस सज़ा से तो मिरा जी ही नहीं भरता है
ज़िंदगी कैसे गुनाहों की सज़ा है यारो
शब है इस वक़्त कोई घर न खुला पाओगे
आओ मय-ख़ाने का दरवाज़ा खुला है यारो
कोई करता है दुआएँ तो ये जल जाता है
मेरा जीवन किसी मंदिर का दिया है यारो
मैं अँधेरे में रहूँ या मैं उजाले में रहूँ
ऐसा लगता है कोई देख रहा है यारो
हाल का ज़ख़्म तो माज़ी से बहुत गहरा है
आज ज़ख़्मी मिरा साया भी हुआ है यारो
इंतिज़ार आज के दिन का था बड़ी मुद्दत से
आज उस ने मुझे दीवाना कहा है यारो
Jiska Koi Nahi Uska Khuda Hai Yaaron (English Font)
Jis kā koī bhī nahīñ us kā ḳhudā hai yaaro
Maiñ nahīñ kahtā kitāboñ meñ likhā hai yaaro
Mud ke dekhūñ to kidhar aur sadā duuñ to kise
Mere maazī ne mujhe chhoḌ diyā hai yaaro
Is sazā se to mirā jī hī nahīñ bhartā hai
Zindagī kaise gunāhoñ kī sazā hai yaaro
Shab hai is vaqt koī ghar na khulā pāoge
Aao mai-ḳhāne kā darvāza khulā hai yaaro
Koī kartā hai duā.eñ to ye jal jaatā hai
Merā jīvan kisī mandir kā diyā hai yaaro
Maiñ añdhere meñ rahūñ yā maiñ ujāle meñ rahūñ
Aisā lagtā hai koī dekh rahā hai yaaro
Haal kā zaḳhm to maazī se bahut gahrā hai
Aaj zaḳhmī mirā saaya bhī huā hai yaaro
Intizār aaj ke din kā thā baḌī muddat se
Aaj us ne mujhe dīvāna kahā hai yaaro