कभी यूँ भी आ मेरी आँख में – जगजीत सिंह

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein – This ghazal has been penned by Basheer Badr and Sung by Jagjit Singh. Music has been composed by Jagjit Singh.

jagjit singh chitra singh album hope

Song :: Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
Singer :: Jagjit Singh
Music Director :: Jagjit Singh
Lyricist :: Bashir Badr

कभी यूँ भी आ मेरी आँख में

कभी यूँ भी आ मेरी आँख में, कि मेरी नज़र को ख़बर न हो
मुझे एक रात नवाज़ दे, मगर उसके बाद सहर न हो

वो बड़ा रहीम-ओ-करीम है, मुझे ये सिफ़त भी अता करे
तुझे भूलने की दुआ करूँ तो दुआ में मेरी असर न हो

कभी दिन की धूप में झूम के, कभी शब के फूल को चूम के
यूँ ही साथ-साथ चले सदा, कभी ख़त्म अपना सफ़र न हो

मेरे पास मेरे हबीब आ, ज़रा और दिल के क़रीब आ
तुझे धड़कनों में बसा लूँ मैं, के बिछड़ने का कभी डर न हो

मेरे बाज़ुओं में थकी थकी, अभी महव-ए-ख़्वाब है चांदनी
न उठे सितारों की पालकी, अभी आहटों का गुज़र न हो

ये ग़ज़ल कि जैसे हिरन की आँखों में पिछली रात की चांदनी
न बुझे ख़राबे की रोशनी, कभी बे-चराग़ ये घर न हो

वो फ़िराक़ हो या विसाल हो, तेरी याद महकेगी एक दिन
वो गुलाब बन के खिलेगा क्या, जो चिराग़ बन के जला न हो

कभी धूप दे, कभी बदलियाँ, दिल-ओ-जाँ से दोनों क़ुबूल हैं
मगर उस नगर में न क़ैद कर जहाँ ज़िन्दगी की हवा न हो

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein 

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein, ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat navaaz de, magar uske baad sahar na ho

Wo bada raheem-o-kareem hai, mujhe ye sifat bhi ataa kare
Tujhe bhoolane ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko chuum ke
Yun hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apnaa safar na ho

Mere paas mere habib aa zara aur dil ke qareeb aa
Tujhe dhadkanon mein basaa lun main ke bichadne ka kabhi dar na ho

Mere baazuon mein thaki thaki, abhi mahav-e-khwaab hai chandni
Na uthe sitaron ki paalaki, abhi aahaton kaa guzar na ho

Ye Gazal hai jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chandni
Na bujhe kharabe ki roshani, kabhi be-charaag ye ghar na ho

Vo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
Vo gulab ban ke khilega kyaa, jo chirag ban ke jalaa na ho

Kabhi dhoop de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se donon qubul hain
Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki havaa na ho

YouTube video