ज़िन्दगी जैसी तमन्ना थी नहीं कुछ कम है – शहरयार

“Zindagi jaisi tamanna thi” is a beautiful ghazal that is penned by Shahryar. The ghazal has been sung by various artist over the time. Presenting here the versions of Anup Jalota and Jagjit Singh. Link is below.

Shaharyaar

ज़िन्दगी जैसी तमन्ना थी नहीं कुछ कम है

ज़िन्दगी जैसी तमन्ना थी नहीं कुछ कम है
हर घड़ी होता है एहसास कहीं कुछ कम है

घर की तामीर तसव्वुर ही में हो सकती है
अपने नक़्शे के मुताबिक़ ये ज़मीं कुछ कम है

बिछड़े लोगों से मुलाक़ात कभी फिर होगी
दिल में उम्मीद तो काफ़ी है यक़ीं कुछ कम है

अब जिधर देखिये लगता है कि इस दुनिया में
कहीं कुछ चीज़ ज़ियादा है कहीं कुछ कम है

आज भी है तेरी दूरी ही उदासी का सबब
ये अलग बात कि पहली सी नहीं कुछ कम है

Zindagi jaisi tamanna thi

Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuch kam hai
Har ghadi hota hai ehsaas kahin kuch kam hain

Ghar ki taamir tassawur hi mein ho sakti hai
Apne nakshe ke mutabik ye zameen kuch kam hai

Bichhade logon se mulakaat kabhi phir hogi
Dil mein ummeed to kaafi hain yakeen kuch kam hai

Ab jidhar dekhiye lagta hai ke is duniya mein
Kahin kuch cheez jyada hai kahin kuch kam hain

Aaj bhi hai teri doori hi udaasi ka sabab
Ye alag baat ke pehali si nahi kuch kam hain

  • Listen to this beautiful ghazal in the voice of Jagjit Singh – Play on Gaana.
  • Listen to this beautiful ghazal in the voice of Anup Jalota – Play on Gaana.