Todkar ahed-e-karam – Listen to this beautiful ghazal that is penned by Hasrat Mohani. Various singer has sung this ghazal over the time. Presenting here versions sung by Jagjit Singh.
तोड़कर अहद-ए-करम नाआशना हो जाइये
तोड़कर अहद-ए-करम नाआशना हो जाइये
बंदापरवर जाइये अच्छा ख़फ़ा हो जाइये
राह में मिलिये कभी मुझ से तो अज़ राह-ए-सितम
होंठ अपने काटकर फ़ौरन जुदा हो जाइये
जी में आता है के उस शौक़-ए-तग़ाफ़ुल केश से
अब ना मिलिये फिर कभी और बेवफ़ा हो जाइये
हाय री बेइख़्तियारी ये तो सब कुछ हो मगर
उस सरापा नाज़ से क्यूँ कर ख़फ़ा हो जाइये
Todkar ahed-e-karam
Todkar ahed-e-karam naashnaa ho jaayiye
Bandaparwar jaaiye, achha khafa ho jaaiye
Raah mein miliye kabhi mujhse to az raah-e-sitam
honth apne kaat kar fauran juda ho jaaiye
Jee mein aata hai ke us shokh-e-tagaful kesh se
Ab na miliye phir kabhi aur bewafa ho jaaiye
Hai ri be-ikhtiyari ye to sab kuch ho magar
us sarapa naaz se kyoonkar khafa ho jaaiye
- Listen to this ghazal in the voice of Jagjit Singh on Youtube Music, Gaana.