Mohabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti (मुहब्बतों में दिखावे की दोस्ती ना मिला) – This famous ghazal is penned by Basheer Badr and sung by Jagjit Singh.
मुहब्बतों में दिखावे की दोस्ती ना मिला
अगर गले नहीं मिलता तो हाथ भी ना मिला
घरों पे नाम थे, नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया, कोई आदमी ना मिला
तमाम रिश्तों को मैं, घर पे छोड़ आया था
फिर उसके बाद मुझे कोई अजनबी ना मिला
बहुत अजीब है ये कुर्बतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा और मुझे कभी ना मिला
ख़ुदा की इतनी बड़ी कायनात में मैंने
बस एक शख़्स को माँगा, मुझे वही ना मिला
Mohabbaton Mein Dikhawe Ki Dosti
Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
Agar gale nahin milta to haath bhi na mila
Gharon pe naam the, naamon key saath ohde the
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila
Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila
Khuda ki itni badi kaaynat mein maine
Bas eik shakhs ko manga mujhe wohi na mila
Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
Wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila