Kaun Aaya Raaste Aaina Khaane Ho Gaye (कौन आया रास्ते, आईनाख़ाने हो गए) – This famous ghazal is penned by Basheer Badr and sung by Jagjit Singh.
कौन आया रास्ते, आईनाख़ाने हो गए,
रात रौशन हो गई, दिन भी सुहाने हो गए।
ये भी मुमकिन है के मैंने उसको पहचाना न हो,
अब उसे देखे हुए, कितने ज़माने हो गए।
जाओ उन कमरों के आईने उठाकर फेंक दो,
बेअदब ये कह रहें हैं, हम पुराने हो गए।
मेरी पलकों पर ये आँसू, प्यार की तौहीन हैं,
उसकी आँखों से गिरे, मोती के दाने हो गए।
Kaun Aaya Raaste Aaina Khaane Ho Gaye
Kaun aaya raaste aaina khaane ho gaye
raat roshan ho gayee din bhi suhaane ho gaye
Ye bhi mumkin hai ke usne mujhko pehchaana na ho
Ab use dekhe huye kitne jamaane ho gaye
Jaao un kamron ke aaine uthakar phenk do
Be-adab ye kah rahen hain hum puraane ho gaye
Meri palkon par ye aansoo pyaar ki tauheen hai
Unki aankhon se gire moti ke daane ho gaye