Agah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi – Hairat Allahabadi

आगाह अपनी मौत से कोई बशर नहीं
सामान सौ बरस का है पल की ख़बर नहीं

आ जाएँ रोब-ए-ग़ैर में हम वो बशर नहीं
कुछ आप की तरह हमें लोगों का डर नहीं

इक तो शब-ए-फ़िराक़ के सदमे हैं जाँ-गुदाज़
अंधेर इस पे ये है कि होती सहर नहीं

क्या कहिए इस तरह के तलव्वुन-मिज़ाज को
वादे का है ये हाल इधर हाँ उधर नहीं

रखते क़दम जो वादी-ए-उल्फ़त में बे-धड़क
‘हैरत’ सिवा तुम्हारे किसी का जिगर नहीं

Agah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi 

 

āgāh apnī maut se koī bashar nahīñ
sāmān sau baras kā hai pal kī ḳhabar nahīñ

aa jaa.eñ rob-e-ġhair meñ ham vo bashar nahīñ
kuchh aap kī tarah hameñ logoñ kā Dar nahīñ

ik to shab-e-firāq ke sadme haiñ jāñ-gudāz
andher is pe ye hai ki hotī sahar nahīñ

kyā kahiye is tarah ke talavvun-mizāj ko
vaade kā hai ye haal idhar haañ udhar nahīñ

rakhte qadam jo vādi-e-ulfat meñ be-dhaḌak
‘hairat’ sivā tumhāre kisī kā jigar nahīñ