Rock On 2 Lyrics – Farhan Akhtar, Shankar Ehsan Loy

Rock On 2 Lyrics – The movie is a sequel to Abhishek Kapoor’s directed Rock On. The film is produced by Farhan Akhtar and Ritesh Sidhwani. The music of the movie has been composed by Shankar Ehsan Loy while the lyrics for Rock On 2 has been penned by Javed Akhtar. The film features Farhan Akhtar, Shraddha Kapoor, Arjun Rampal, Prachi Desai, Purab Kohli and Shashank Arora in the lead role.

Rock On 2 Lyrics - Farhan Akhtar, Shankar Ehsan Loy

Ishq Mastana Lyrics

Music: Shankar Ehsan Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Singer: Digvijay Singh Pariyar, Shankar Mahadevan

Haan mann hai
Ishq mastana, ishq mastana
Ishq mastana, ishq (x2)

Haan mann hai ishq mastana
Haan mann hai
Ishq mastana, ishq mastana
Ishq mastana, ishq

Haan mann hai ishq mastana
Haan mann ko hoshiyari kya
Rahe aazaadiyaan jag mein
Humein duniya se yaari kya

Haan mann hai
Ishq mastana, ishq mastana, ishq mastana, ishq

Jo bichde hai pyaari se
Jo bichde hai pyaari se
Matakte dar-ba-dar phirte
Humara yaar hai hum mein
Haan mann ko intezari kya

Haan mann hai
Ishq mastana, ishq mastana
Ishq mastana, ishq (x2)

Kabir khada bazaar mein
Maange sabki khair
Na kaahu se dosti
Na kaahu se bair

O…
Haan mann hai ishq mastana
Haan mann ko hoshiyari kya
Rahe aazaadiyaan jag mein
Humein duniya se yaari kya

Haan mann hai
Ishq mastana, ishq mastana
Ishq mastana, ishq (x2)

Ishq mastana, ishq mastana
Ishq mastana, ishq
Haan mann hai
Ishq mastana, ishq mastana
Ishq mastana, ishq

Manzar Naya Lyrics 

Music: Shankar Ehsan Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Singer: Farhan Akhtar

Chal chale hum kahin
Chal raahein kam nahin
Chal kahe dil jidhar
Chal jaayein hum wahin

Pal pal har kadam
Paayenge hum ikk manzar naya
Pal pal har kadam
Paayenge hum manzar naya

Chal raahon mein nikal
Chal manzilein badal
Chal thakna rukna kya
Chal yunhi chalta chal

Pal pal har kadam
Paayenge hum ikk manzar naya
Pal pal har kadam
Paayenge hum manzar naya

Koi na samjhe hamari
Jo betaabiyan hain toh kyun
Kal hum kahan ho na jaane
Jo aaj hum yahaan hain toh kyun

Sun humse yeh dil hai keh raha
Pal pal yeh samay hai beh raha

Pal pal har kadam
Paayenge hum manzar naya

Chal chale hum kahin
Chal raahein kam nahin
Chal kahe dil jidhar
Chal jaaye hum wahin

Pal pal har kadam
Paayenge hum ikk manzar naya
Pal pal har kadam
Paayenge hum manzar naya

Wo Jahaan Lyrics 

Music: Shankar Ehsan Loy
Lyrics: Javed Akhtar
Singer: Farhan Akhtar, Shraddha Kapoor

Neela aakash jo ik samandar hai
Usme kahin koi aisa sitaara bhi hai
Jisme doosri ikk duniya ho basi
Jisme ho jaagti zindagi

Par humse alag, humse judaa
Ik nishaan bhi na ho jahan dard ka
Jeena jahan ho nahi mushkil

Koi rota na ho
Chain khota na ho
Ho ye sabko yakeen
Koi tanha nahin
Na kabhi toote kisi ka dil

Woh jahaan, koi dukh ho na ho koi gham
Woh jahaan, palkein na hon num
Dilon mein ho na deewarein na dooriyan
Woh jahaan, poore ho armaan

Sabko ho ye pataa
Sab dilon mein
Mohabbat ek gehri dhara bhi hai
Neele aakash mein
Koi aisa sitara bhi hai

Neele aakash ke iss samandar ka
Chand ki kashti mein maine kiya hai safar
Dhoondti ho agar tum jo duniya haseen
Woh duniya hai yahin
Woh yahin hai kahin

Haan magar uske chehre par
Nafrat ki zulm ki
Ikk dhool hai jam gayi

Haan magar uske tann pe lipti
Lalach ki hai zanjeer toh
Woh duniya aate aate tham gayi

Uske chehre se ye dhool hatt jaaye toh
Uske tann se ye zanjeer kat jaaye toh
Dekhna phir yahaan
Iss zameen par hi hogi woh duniya

Woh jahaan, koi dukh ho na ho koi gham
Woh jahaan, palkein na hon num
Dilon mein ho na deewarein na dooriyan
Woh jahaan poore ho armaan

Muskurati ho chehron pe ik roshni
Zindagi ho mohabbat bhari zindagi

YouTube video

 

 

Latest Songs!

Most Loved!