Duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai – Fani Badayuni

Duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai - Fani Badayuni

Read the ghazal by Fani Badayuni – Duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai – Fani Badayuni

दुनिया मेरी बला जाने महँगी है या सस्ती है
मौत मिले तो मुफ़्त न लूँ हस्ती की क्या हस्ती है

आबादी भी देखी है वीराने भी देखे हैं
जो उजड़े और फिर न बसे दिल वो निराली बस्ती है

ख़ुद जो न होने का हो अदम क्या उसे होना कहते हैं
नीस्त न हो तो हस्त नहीं ये हस्ती क्या हस्ती है

इज्ज़-ए-गुनाह के दम तक हैं इस्मत-ए-कामिल के जल्वे
पस्ती है तो बुलंदी है राज़-ए-बुलंदी पस्ती है

जान सी शय बिक जाती है एक नज़र के बदले में
आगे मर्ज़ी गाहक की इन दामों तो सस्ती है

वहशत-ए-दिल से फिरना है अपने ख़ुदा से फिर जाना
दीवाने ये होश नहीं ये तो होश-परस्ती है

जग सूना है तेरे बग़ैर आँखों का क्या हाल हुआ
जब भी दुनिया बस्ती थी अब भी दुनिया बस्ती है

आँसू थे सो ख़ुश्क हुए जी है कि उमडा आता है
दिल पे घटा सी छाई है खुलती है न बरसती है

दिल का उजड़ना सहल सही बसना सहल नहीं ज़ालिम
बस्ती बसना खेल नहीं बसते बसते बस्ती है

‘फ़ानी’ जिस में आँसू क्या दिल के लहू का काल न था
हाए वो आँख अब पानी की दो बूँदों को तरसती है

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

duniyā merī balā jaane mahñgī hai yā sastī hai
maut mile to muft na luuñ hastī kī kyā hastī hai

ābādī bhī dekhī hai vīrāne bhī dekhe haiñ
jo ujḌe aur phir na base dil vo nirālī bastī hai

ḳhud jo na hone kā ho adam kyā use honā kahte haiñ
niist na ho to hast nahīñ ye hastī kyā hastī hai

ijz-e-gunāh ke dam tak haiñ ismat-e-kāmil ke jalve
pastī hai to bulandī hai rāz-e-bulandī pastī hai

jaan sī shai bik jaatī hai ek nazar ke badle meñ
aage marzī gāhak kī in dāmoñ to sastī hai

vahshat-e-dil se phirnā hai apne ḳhudā se phir jaanā
dīvāne ye hosh nahīñ ye to hosh-parastī hai

jag suunā hai tere baġhair āñkhoñ kā kyā haal huā
jab bhī duniyā bastī thī ab bhī duniyā bastī hai

aañsū the so ḳhushk hue jī hai ki umDā aatā hai
dil pe ghaTā sī chhā.ī hai khultī hai na barastī hai

dil kā ujaḌnā sahl sahī basnā sahl nahīñ zālim
bastī basnā khel nahīñ baste baste bastī hai

‘fānī’ jis meñ aañsū kyā dil ke lahū kā kaal na thā
haa.e vo aañkh ab paanī kī do būñdoñ ko tarastī hai